ADVERTISEMENT

Wednesday, 27 April 2016

GOOGLE CHROME BROWSER EK MP3/VIDEO PLAYER BHI HAI

GOOGLE CHROME  MUSIC PLAYER 
Dosto mene phele ek article post kiya tha google chrome pe kaise hum offline game bhi khel sakte hai. Aaj me aapko google chrome ki dusri tricks bataunga ki kaise hum google chrome pe apna computer ka mp3/videos play kar sakte hai. Agar aapke computer me koi mp3/video player software install nehi hai fir bhi aap ye tricks se mp3/video asani se dekh sakte hai. Chaliye hum start karte hai kaise google chrome browser pe mp3/video play karna hai.

STEP-1 MP3
Google chrome browser open kare. Phele hum mp3 try karte hai. Apne computer se mp3 song list open kare. Iske baad jo mp3 play karna hai wo song ko mouse se pakar kar google chrome browser pe chorde. Aise ye song play ho jayega.




STEP-2 VIDEO
Video ke liye bhi same process hai. Jo video play karna hai mouse se pakar kar google chrome browser pe chorde wo video play ho jayega. Ye dekhe ye mera computer ka video mene google chrome browser pe play kiya hai. Ye mp3/video offline bhi play hota hai.




Dosto asha karta hoon mera ye blog apko pasand aya hoga. Agar koi bhi sawal/sujawo ho to jarur comment kariyega dhanyawaad. 

Friday, 15 April 2016

USB PEN DRIVE KO KAISE PASSWORD DALKE LOCK KARE

Dosto aaj me aapko bataunga kaise usb Pen drive password dalke lock karte hai. Hum apne pen drive  par official ya personal data bhi rakhte hai aise me hum apne pen drive par  password dalke protect kar sakte hai. Chaliye hum start karte hai kaise usb pendrive ko password dalke protect karna hai.

STEP-1
Sabse phele apne Computer ya laptop par usb Pen drive lagaye. Jab pen drive show ho jaye uspar right click kare aur Turn on BitLocker pe click kare.



STEP-2 
Turn on BitLocker karte hi Bitlocker on ho jayega.



STEP-3
Iske baad password dalke next karde.


STEP-4
Agar kavi aap password bhul jate hai to recovery key se password nikal sakte hai. Iske liye Save to a File click karde. Aise ye file aapke computer me save ho jayega.




STEP-5
Yaha pe aapko do option ata hai Encrypt entire drive(slowest but best for PC's and drives already in use) pe click karke next karde.


STEP-6
Last step Start Encrypting pe click karde aur ye Encrypting ho jayega.


Ye dekhe humara usb Pendrive protected ho gaya hai. Ise open karne ke liye password dale aur Unlock karke open kare.






Asha karta hoon apko mera ye post pasand aya hoga. Agar kahi pe bhi samajne me dikkat aye to jarur comment kariyega dhanyawaad.

Thursday, 14 April 2016

FREE SMS INTERNET SE MOBILE PAR KAISE SEND KARTE HAI




Dosto aaj me aapko bataunga kaise hum internet se Free me  SMS mobile par send kar sakte hai. Sabse phele janenge hum internet se mobile par SMS kyun send kare. Iske bhi bahut faide hai. Jaise

1. SMS Blackout days jaise New Year Day, Valentine's Day, Holi, Diwali etc par humara SMS pack kaam nehi karta hai. Aise me hum Internet se mobile par Free me SMS  send kar sakte hai.

2. Kavi aisa bhi hota hai humare mobile par internet pack to hota hai par balance zero hota hai aur hum kisi ko mis call tak bhi nehi karsakte hai. Aise me hum mobile se hi internet on karke, internet se dusre ko sms karke contact kar sakte hai. Hai na faidemand. To chaliye hum start karte hai kaise hum internet se free SMS mobile par karsakte hai.

STEP-1
Google pe search kare way2sms.com. Humne way2sms isliye chuna kyuki ye India ka largest free messaging destination site hai aur 40 million se jyada logo ne ise chuna hai aur ye acha service deraha hai


STEP-2
Jab Home page open ho  jaye to Registration pe click karke sign up karle.


STEP-3
Registration se baad apne way2sms id se aise SMS send karna hai. Send Free SMS pe click kare.


STEP-4
Iske baad mobile number enter kare, message type kare aur send karde. Aapka message 10 sec ke under delivered ho jayega. Aap ek sath Group SMS bhi send kar sakte hai. Future SMS bhi send kar sakte hai. Sabse badiya aap language SMS bhi send kar sakte hai.


Dosto agar aapko kahi par bhi samajne me dikkat aye to ya koi bhi sawal ho to jarur comment kariyega dhanyawaad.

Tuesday, 12 April 2016

FACEBOOK SE VIDEO DOWNLOAD KAISE KARE

Dosto youtube aur dusre sites se to bahut sare logo ne download kya hoga lekin jab Facebook ki baat karte hai  to hum soch me padjate hai. kya aap janna chahenge Facebook se hum kaise video download kar sakte hai. Chaliye hum start karte hai kaise Facebook se video download karna hai.




STEP-1
Aapna Facebook ID login kare aur jis video ko download karna hai wo video ko phele play kare. Jab video start ho jaye uspe right click kare aur Show video URL ko click kare.





Jab hum Show video URL pe click karte hai to video ka URL dikhai deta hai. Hume us URL ko copy karna hai.



STEP-2
Ab apne browser ka dusra tab open karna hai  aur jo URL ko copy kiya tha wo paste karke enter karna hai. Upar bar pe kuch is tarah  URL show hoga 
https://www.facebook.com/buzzfeedtasty/videos/1731309587121683/ . Ab hume us URL ko click karke www ko hata ke m dalna hai aur enter karna hai is tarah.
https://m.facebook.com/buzzfeedtasty/videos/1731309587121683/





STEP-3
Jab hum enter karenge to dusra page open ho jayega. Ab hume us video ko play karna hai. Jab video start ho jaye right click karke save video as pe click karna hai aur  save karna hai. Aise video download ho jayega.


Ye dekhe niche video download ho raha hai.




Asha karta hoon mera ye post aapko pasand aya hoga. Agar kahi pe bhi smajne me kuch dikkat aye to jarur comment kare dhanyawaad.



Sunday, 10 April 2016

JANIYE AAPKA FACEBOOK PROFILE KISNE VISIT KIYA HAI

Hello friends kya aap jante hai aapka Facebook profile last visit kisne kiya hai? Janna chahate hai kaise hum pata kar sakte hai ki kisne humara Facbook profile visit kiya hai. Aaj me aapko bataunga ki kaise hum nikal sakte hai pura list jinhone hamara facebook page visit kiya hai.

STEP-1
Google chrome par apna Facebook page login kare aur apna timeline page open kare. Iske baad kahi pe bhi right click kare aur view page source pe click kare.


STEP-2 
View page source pe click karte hi dusra tab open ho jayega. Page kuch is tarah dikhai dega.


STEP-3
Yaha pe hume keyboard par control key Ctrl+F dabana hai. Ctrl+F dabate hi aisa box right side top corner pe dikhai dega. Us box me initialchat type kare. Initialchat type karte hi niche initialchat colour word me dikhai dega.


STEP-4
Initialchat ke samne list hai. Bahut sare numbers hume dikhai deraha hai. Ye sab hamare profile visitors hai. Chaliye hum check karte hai. Hum ek number copy kar lete hai. Yaha hume sirf number hi copy karna hai. "-2 " copy mat kare.



STEP-5
Ye number mene copy karliya hai  dhekte hai  kisne mera profile visit kiya hai. Ye check karne ke liye hume upar type ya edit karna hai https://www.facebook.com/100008329027906
aur enter karde is tarah.





Chaliye dekhte hai thori der phele kisne mera profile visit kiya hai. Mene enter kiya aur page open hogaya.




Oh my friend sanju sharma! Aur bhi visitor dekh sakte hai same process se.
Asha karta hoon mera ye blog apko pasand aya hoga.Agar aapko samajne me dikkat aye to jarur comment kare dhanyawaad.

FREE ME WEBSITE KAISE BANATE HAI

Hello dosto mein aaj aapko free me website kaise banate hai bataunga. Free me website banane ke liye bahut sare sites aapko miljayenge jaise wix,yola,webs.weebly etc. Mein chuna hai weebly. Weebly me hum asani se  apna website bana sakte hai. Weebly  30 million se bhi jyada log used karte hai. Chaliye hum start karte hai.

STEP-1
Google pe type kare weebly.com aur home page open karte hain.


STEP-2
Ye dekhe homepage khul gaya. Ab hume try it free me click karke sign up karna hai. Hum direct facebook ya google+ se bhi sign up kar sakte hai.



STEP-3
Sign up karne ke baad ye dekhe hamara account khul gaya. Sabse phele hame theme choose karna hai. Koi acha sa theme select karlete hai.


 STEP-4 
Theme select karne ke baad hume aise website address (website ka naam) dalna  hai.


STEP-4
Iske baad hume edit karna hai jaise website ka Title, Image, Text etc. Ye dekhe mene thora sa edit karke banaya hai. Aap apne hisab se edit karke badiya sa website bana sakte hai.




Asha karta hoon ki aapko mera ye blog pasand aya hoga. Agar aapko website banane me dikkat aye to jarur comment kare dhanyawaad.

Friday, 8 April 2016

PC SE MOBILE PAR FREE CALL KAISE KAR SAKTE HAIN

Dosto aaj me aap ko PC se Mobile ya Landline par free call kaise karte hain bataunga. Aap ko to pata hoga ki hum ek smart phone se dusre smart phone pe call kar sakte hain facebook messenger,whatsapp,skype,viber etc duara. Iske liye dusre ka bhi smartphone hona anivarya hai..Lekin hum landline aur bina smartphone pe call nehi kar sakte hain. Me aapko do sites bataunga jaha se hum PC se mobile/landline par free call kar sakte hain .Chaliye hum sikhte hain PC se Mobile/Landline par kaise free call kar sakte hain.
PHELA SITE HAI IEVAPHONE.COM

STEP-1
Google pe type kare www.ievaphone.com



STEP-2
Ye home homepage khul gaya. Ab kaunse Country me call karna hai select kare aur mobile ya landline no enter kare.


STEP-3
Ye dekhe Jaise mene mobile no. enter kiya ye bata raha he ki me 180 seconds tak call karsakta hoon.
Aap per day ek hi call kar sakte hain. Agar aapko fir call karna hai to 24hrs baad call karsakte hain.





DUSRA SITE HAI CALL2FRIENDS.COM

STEP-1
Google pe type kare www.call2friends.com





STEP-2
Ye home page khul gaya. Yaha pe bhi ievaphone jaise hi same hai waise hi call karna hai. kaun se country me call karna hai phele select kare aur mobile ya landline no enter kare. Ye site me  bhi aap 180 seconds tak call kar sakte hai. Agar fir se call karna hai to 24hrs ke baad  call sakte hain.


Asha karta hoon ki aapko mera ye post pasand aya hoga. Agar aap ko samajne me paresani aye to jarur comment kare  dhanyawaad.

FACEBOOK PAR ADD FRIEND, FOLLOW AUR MESSAGE BUTTON KAISE HIDE KARTE HAI

Dosto aaj me apko bataunga ki  Facebook se hum Add Friend.Follow aur Message button ko kaise hide kar sakte hai. Sabse phele hume Facebook Id login karna hai. Me aapko step by step bata raha hu:-

(1) FACEBOOK SE KAISE ADD  FRIEND BUTTON KO HIDE KARTE HAI

STEP-1
Apna Facebook Id login kare aur right side pe dekhe setting option hai jisko click karna hai.


STEP-2
Iske baad Privacy option pe click karna hai.


STEP-3 
Iske baad aapko Edit Option ko click karna hai.


STEP-4
Iske baad Everyone ko change karke Friends of Friends select karna hai. Ab apka Add Friend button hide hojayega.



Ye dekhe mera Add button Hide hogaya hai




(2) FACEBOOK SE  FOLLOW BUTTON KO KAISE HIDE KARTE HAI 

STEP-1
Phele ki tarah setting ko click kare aur Followers pe click kare.

STEP-2
Iske baad Everybody ko Friends me change karna hai. Ab aapka Follow button hide ho jayega.




Ye dekhe mera Follow button hide ho gaya hai



(3) FACEBOOK SE KAISE MESSAGE BUTTON KO HIDE KARTE HAI

STEP-1
Sabse phele Facebook pe apne timeline ki page open kare. Iske baad Update info pe click kare.




STEP-2
Ab aapko Contact and basic info pe click karna hai.


STEP-3
Iske baad apna age 18 years se kam karna hai. Birth year me apna age below 18 years ke hisab se Birth year enter karke box pe tick karna hai aur Only me pe click karke save changes karde. Aise apka Message button bhi hide ho jayega.


Asha karta hu aapko mera ye post pasand aya hoga. Agar kisi bhi bisaye me aapko samajne me problem aaya hoto jarur comment kare dhanyawaad.

Thursday, 7 April 2016

HINDI ME TYPING KAISE KARTE HAI SABSE AASAN TARIKA JANIYE



Dosto hum bina Hindi keyboard ya bina Hindi typing course kiye Hindi me typing kar sakte hai. Aaj me apko Hindi me kaise type karte hai batanewala hoon. Hum type to English letter me karenge par type Hindi me ho jayega. Hum yeah typing online/offline bhi kar sakte hai. Yeah typing aap kahi par bhi kar sakte ho jaise Facebook, Email. MS words etc. Google input tools se hum Hindi, Gujarati,Marathi, Nepali, Bengali, Telegu etc  koi bhi apna language typing kar sakte hai. Hai na interesting kaise me bata raha hu.


STEP-1
Google search me google input tools type kare aur enter kare..


STEP-2
Google input tools page open kare aur On Windows pe click kare;

STEP-3
Iske baad kaun se language ki input tools chahiye choose kare aur I agree box pe click karke download kare.
STEP-4
Kuch hi minutes me apka tools download/installed ho jayega aur aap ke desktop right side niche dhikhayee dega हिंदी ya apka language menu.


STEP-5
Jo language me type karna hai wo phele click kare aur type kare. Ye bahut hi aasan hai.Ye dekhiye maine kaise Hindi, English me facebook pe typing kiya hai.




Asha karta hu ki aapko mera ye blog pasand aya hoga. Koi bhi sawal/sujawo ho to jarur comment kariyega dhanyawad.