ADVERTISEMENT

Thursday 5 May 2016

NOKIA MOBILE COMPUTER SE CONNECT KARKE KAISE COMPUTER ME INTERNET CONNECTION KARSAKTE HAI

Dosto bahut lago ke pass ghar pe Computer/Laptop to hota hai par internet connection nehi hota hai. Aise me agar aapke paas Nokia mobile phone hai to aap asani se internet connection computer me kar sakte hai. Aapke sim me internet pack activate karke, computer me connect karke internet kar sakte hai.

IN CHEEZO KA HONA JARURI HAI NOKIA MOBILE PHONE KO COMPUTER ME CONNECT KARKE INTERNET CONNECTION KE LIYE:
1. Ek Nokia Multimedia mobile phone (EDGE/GPRS/2G/3G support).
2. Ek USB Data cable. (Computer se connect ke liye).
3. Nokia PC Suite ya Nokia Ovi Suite.
Aapka phone kaun sa Suite support karta hai janne ke liye apne mobile phone pe check kiya ja sakta hai, Janne ke liye apne mobile ka settings>connectivity>USB data cable check kare. Apke mobile phone pe PC Suite dikha raha he to apko PC Suite software chahiye aur agar apke mobile pe Ovi Suite dikha raha hai to aapko Ovi Suite software chahiye.

SOFTWARE KAHAN SE PRAPT KARE:
Software disc se bhi prapt kar sakte hai nehi to kisi friends ke internet se ya cyber cafe se bhi download kar sakte hai. 2,3 sites me bata raha hoon jaise filehippo,cnet,microsoft etc se aap download kar sakte hai.

KAISE NOKIA MOBILE PHONE COMPUTER SE CONNECT KARKE COMPUTER ME INTERNET CONNECTION KARE:
Dosto me aapko step by step bataunga kaise Nokia phone Computer se connect karke Internet connection kar sakte hai.
STEP-1
Software prapt karne ke baad, software pe double click karke aur install kare niche image ke mutabik. Me Nokia Ovi suite install karke dikha raha hoon.


STEP-2
Nokia Ovi Suite install ho gaya. Apne desktop se Nokia Ovi suite open kare aur apna Nokia mobile USB duara Computer me connect kare. Niche image ke  mutabik connect kare.





STEP-3
Left side upar tool option hai click kare aur connect to internet pe click kare. Niche image ke mutabik connect kare.



Ye dekhe internet connected hogaya hai. Ab browser open kare aur search kare. Asha karta hoon aapko mera ye post pasand aya hoga. Agar kahi pe bhi samajne me dikkat aye to ya koi bhi sawal ho to jarur comment kariyega dhanyawaad.

1 comment:

  1. advanced systemcare support
    We believe in creating better computing experiences for people using Laptops or Desktops. Call us now 1-877-200-2158 for Online Computer Tech Support

    ReplyDelete