ADVERTISEMENT

Thursday, 7 April 2016

HINDI ME TYPING KAISE KARTE HAI SABSE AASAN TARIKA JANIYE



Dosto hum bina Hindi keyboard ya bina Hindi typing course kiye Hindi me typing kar sakte hai. Aaj me apko Hindi me kaise type karte hai batanewala hoon. Hum type to English letter me karenge par type Hindi me ho jayega. Hum yeah typing online/offline bhi kar sakte hai. Yeah typing aap kahi par bhi kar sakte ho jaise Facebook, Email. MS words etc. Google input tools se hum Hindi, Gujarati,Marathi, Nepali, Bengali, Telegu etc  koi bhi apna language typing kar sakte hai. Hai na interesting kaise me bata raha hu.


STEP-1
Google search me google input tools type kare aur enter kare..


STEP-2
Google input tools page open kare aur On Windows pe click kare;

STEP-3
Iske baad kaun se language ki input tools chahiye choose kare aur I agree box pe click karke download kare.
STEP-4
Kuch hi minutes me apka tools download/installed ho jayega aur aap ke desktop right side niche dhikhayee dega हिंदी ya apka language menu.


STEP-5
Jo language me type karna hai wo phele click kare aur type kare. Ye bahut hi aasan hai.Ye dekhiye maine kaise Hindi, English me facebook pe typing kiya hai.




Asha karta hu ki aapko mera ye blog pasand aya hoga. Koi bhi sawal/sujawo ho to jarur comment kariyega dhanyawad.



3 comments: