ADVERTISEMENT

Tuesday 3 May 2016

KAISE YOUTUBE SE EASILY VIDEO DOWNLOAD KARE



Dosto youtube se video download karne ke liye bahut sare tarike hai. Bahut sare software bhi apko mil jayenge aur bina software ke kaise video download karna hai wo bhi mene aapko bataya hai mera phele ka post me. Agar aapne mera post nehi pada hai to jarur pade you tube se video kaise download kare bina software ke. Aaj me apko ek aasan tarika bataunga jisko karne se aap aasani se video download kar sakte hai. Chaliye hum start karte hai.

STEP-1
Sabse phele google pe search kare fastesttube.


STEP-2
Jab home page open ho jaye browser select kare aur install kare. Jab aap browser select karenge tab iska set up file download hojayega. Ye dekhe niche download hogaya hai.




STEP-3
Ye dekhe humare computer me ye set up file download ho gaya hai. Jo set up file humne download kiya hai wo zip file me reheta hai. Hume phele ishe unzip karna hai. Ishe unzip karne ke liye aap set up file ko right click kare aur Extract all karde.


STEP-4
Extract all karne ke baad ab hume ishe install karna hai. Niche image ke mutabik double click karke install kare.


STEP-5
Ab aapka browser open kare image ke mutabik phele 1. click kare aur Extensions click kare. Fir 2.Extensions pe click kare.

STEP-5
Apne browser ka Extensions page me hi rahana hai.Iske baad jara dhyan se padhe jo set up file ko humne Extract kiya woha pe jaye aur image ke mutabik mouse ka left click se pakkar kar apne browser ka Extension page pe drop kare(mouse se pakarkar extensions page pe chorde). Drop to install ayega aur Add Extensions karde.


Ye hogaya. Ab browser pe youtube ka video open kare aur dekhe video ke niche Download option aagaya hai.

Asha karta hoon mera ye blog aapko pasand aya hoga. Agar aapko kahi pe bhi samajne me dikkat aye to ya koi bhi sujawo/sawal ho to jarur comment karyega dhanyawaad.

1 comment:

  1. I'm using https://youdownloader.net/ to download free videos from Youtube.

    ReplyDelete